Kuchh log mohobbat ko byopaar samajhte hain

कुछ लोग मोहोब्बत को ब्योपार समझते हैं
Work
Year
Language

मोहब्बत का ताल्लूक शान-ओ-शौकत से नहीं होता
ये सौदा ऐसा सौदा है, जो दौलत से नहीं होता

कुछ लोग मोहब्बत को ब्योपार समझते हैं
दुनिया को खिलौनों का बाज़ार समझते हैं

दौलत का नशा इनको कुछ इतना ज़्यादा है
दुनिया की हर इक शय को पाने का इरादा है
अपने को दो आलम का मुख़्तार समझते हैं

दिल क्या है, वफ़ा क्या है, ये लोग ना समझेंगे
मिटने की अदा क्या है, ये लोग ना समझेंगे
हर शक्स को बिकने पर तैय्यार समझते हैं

कहिये भी तो इन जैसे दिलदारों को क्या कहिये
मजबूर हैं आदत से, बेचारों को क्या कहिये
हम ऐसे दिमाग़ों को बिमार समझते हैं

mohabbat kā tāllūk śhān-o-śhaukat se nahīṅ hotā
ye saudā aisā saudā hai, jo daulat se nahīṅ hotā

kuchh log mohabbat ko byopār samajhte haiṅ
duniyā ko khilaunoṅ kā bāzār samajhte haiṅ

daulat kā naśhā inko kuchh itnā zyādā hai
duniyā kī har ik śhay ko pāne kā irādā hai
apne ko do ālam kā mukhtār samajhte haiṅ

dil kyā hai, vafā kyā hai, ye log nā samjheṅge
miṭne kī adā kyā hai, ye log nā samjheṅge
har śhaks ko bikne par taiyyār samajhte haiṅ

kahiye bhī to in jaise dildāroṅ ko kyā kahiye
majbūr haiṅ ādat se, bechāroṅ ko kyā kahiye
ham aise dimāġhoṅ ko bimār samajhte haiṅ