Kuchh chuhle hon ... jo na teraa deevaanaa ho

कुछ चुहले हों ... जो न तेरा दीवाना हो
Year
Language

कि: कुछ चुहले हों कुछ चर्चे हों
कुछ गाना और बजाना हो
इतने में पर्दे से कहीं जो छम से तेरा आना हो
कौन है ऐसा महफ़िल में जो न तेरा दीवाना हो
जो न तेरा दीवाना हो

को: एक बार जो पर्दे से फिर छम से तेरा आना हो
कौन है ऐसा महफ़िल में जो न तेरा दीवाना हो

ल: ( किसकी कौन अदा कब भाई
या मैं जानूँ या वो जाने ) -2
यूँ तो एक शमा जलती है
लाखों फिरते हैं परवाने
सोच समझ कर इस महफ़िल में आने वाले आना

कि: कौन है ऐसा महफ़िल में जो न तेरा दीवाना हो
जो न तेरा दीवाना हो

ल: ( ये धूम रहे ये रंग रहे
महफ़िल यूँही आबाद रहे ) -2
कोई बात नहीं जो मैं ना रहूँ
लेकिन मेरी बस याद रहे
कोई परी रुह सामने आ के
कर गई दिल दीवाना हो

कि: एक बार जो पर्दे से फिर छम से तेरा आना हो
कौन है ऐसा महफ़िल में जो न तेरा दीवाना हो
को: एक बार जो पर्दे से फिर छम से तेरा आना हो
कौन है ऐसा महफ़िल में जो न तेरा दीवाना हो

ki: kuchh chuhle hoṅ kuchh charche hoṅ
kuchh gānā aur bajānā ho
itne meṅ parde se kahīṅ jo chham se terā ānā ho
kaun hai aisā mahafil meṅ jo na terā dīvānā ho
jo na terā dīvānā ho

ko: ek bār jo parde se phir chham se terā ānā ho
kaun hai aisā mahafil meṅ jo na terā dīvānā ho

la: ( kiskī kaun adā kab bhāī
yā maiṅ jānūṇ yā vo jāne ) -2
yūṇ to ek śhamā jaltī hai
lākhoṅ phirte haiṅ parvāne
soch samajh kar is mahafil meṅ āne vāle ānā

ki: kaun hai aisā mahafil meṅ jo na terā dīvānā ho
jo na terā dīvānā ho

la: ( ye dhūm rahe ye raṅg rahe
mahafil yūṇhī ābād rahe ) -2
koī bāt nahīṅ jo maiṅ nā rahūṇ
lekin merī bas yād rahe
koī parī ruh sāmne ā ke
kar gaī dil dīvānā ho

ki: ek bār jo parde se phir chham se terā ānā ho
kaun hai aisā mahafil meṅ jo na terā dīvānā ho
ko: ek bār jo parde se phir chham se terā ānā ho
kaun hai aisā mahafil meṅ jo na terā dīvānā ho