Koyal see teree bolee ... soorat hai kitnee bholee

कोयल सी तेरी बोली ... सूरत है कितनी भोली
Work
Year
Language

कोयल सी तेरी बोली कू कु कु कु कु
सूरत है कितनी भोली कू कु कु कु कु
नैन तेरे कजरारे होंठ तेरे अंगारे
तुझे देख के दिल मेरा खोने लगा

बातों में तेरी सरगम छन छन छन छन छन
मन को लुभाए प्रीतम छन छन छन छन छन
रंग तेरा रंगीला तू है छैल छबीला
तुझे देख के कुछ मुझे होने लगा

यौवन की तू मलिका खिल के तेरा बदन महके
आऊं जो पास तेरे साँसों का चमन महके
अंगों से तेरे रस बरसे तेरे लिए जीवन तरसे
मेरे होश लिए जाते हैं कंवारे तेरे कंगना
तूने मुझे बेचैन किया तूने भी तो मेरा चैन लिया
बातों में तेरी सरगम …

तूने मेरे तन को छुआ मन में हुई कोई हलचल
दिल मेरा डोल गया ऐसे उड़ा तेरा आँचल
प्रीत के रंग रंगाऊं चुनर नाम तेरे लिख दी है उमर
बनके मैं आऊंगी दुल्हन तेरे अंगना
तेरे मिलन की प्यास जगी कैसे कहूं क्‌या आग लगी
कोयल सी तेरी बोली …

koyal sī terī bolī kū ku ku ku ku
sūrat hai kitnī bholī kū ku ku ku ku
nain tere kajrāre hoṅṭh tere aṅgāre
tujhe dekh ke dil merā khone lagā

bātoṅ meṅ terī sargam chhan chhan chhan chhan chhan
man ko lubhāe prītam chhan chhan chhan chhan chhan
raṅg terā raṅgīlā tū hai chhail chhabīlā
tujhe dekh ke kuchh mujhe hone lagā

yauvan kī tū malikā khil ke terā badan mahke
āūṅ jo pās tere sāṇsoṅ kā chaman mahke
aṅgoṅ se tere ras barse tere lie jīvan tarse
mere hośh lie jāte haiṅ kaṅvāre tere kaṅgnā
tūne mujhe bechain kiyā tūne bhī to merā chain liyā
bātoṅ meṅ terī sargam …

tūne mere tan ko chhuā man meṅ huī koī halchal
dil merā ḍol gayā aise uṛā terā āṇchal
prīt ke raṅg raṅgāūṅ chunar nām tere likh dī hai umar
banke maiṅ āūṅgī dulhan tere aṅgnā
tere milan kī pyās jagī kaise kahūṅ k‌yā āg lagī
koyal sī terī bolī …