Koee preet kee reet bataa do hamen

कोई प्रीत की रीत बता दो हमें
Year
Language

कोई प्रीत की रीत बता दो हमें
कोई मन का मीत मिला दो हमें
कोई ऐसा गीत सुना दो हमें
खिल जाये दिल से दिल की कली -2

बनवासी मीत कहाँ जाने
परदेसी प्रीत कहाँ जाने
हम ऐसा गीत कहाँ जाने -2
खिल जाये दिल से दिल की कली -2
यहाँ दिल की कली कबही न खिली -2

ये सब शहरों के धन्दे हैं
ये हिर्स-ओ-हवस के फन्दे हैं
हम तो सैलानी बन्दे हैं
हम प्रीत की रीत कहाँ जाने -2

( दिल जंगल ही में बहलता है
यहाँ होँठों पे गीत मचलता है ) -2
यहाँ प्रेम का सागर चलता है -2

( हमें प्रीत की रीत बता दे कोई
हमें ऐसा गीत सुना दे कोई ) -2
खिल जाये दिल से दिल की कली -2
यहाँ दिल की कली तो कभी ना खिली -2

koī prīt kī rīt batā do hameṅ
koī man kā mīt milā do hameṅ
koī aisā gīt sunā do hameṅ
khil jāye dil se dil kī kalī -2

banvāsī mīt kahāṇ jāne
pardesī prīt kahāṇ jāne
ham aisā gīt kahāṇ jāne -2
khil jāye dil se dil kī kalī -2
yahāṇ dil kī kalī kabhī na khilī -2

ye sab śhahroṅ ke dhande haiṅ
ye hirs-o-havas ke phande haiṅ
ham to sailānī bande haiṅ
ham prīt kī rīt kahāṇ jāne -2

( dil jaṅgal hī meṅ bahaltā hai
yahāṇ hoṇṭhoṅ pe gīt machaltā hai ) -2
yahāṇ prem kā sāgar chaltā hai -2

( hameṅ prīt kī rīt batā de koī
hameṅ aisā gīt sunā de koī ) -2
khil jāye dil se dil kī kalī -2
yahāṇ dil kī kalī to kabhī nā khilī -2