Koee naheen meraa is duniyaa men aashiyaan barbaad hai

कोई नहीं मेरा इस दुनिया में आशियाँ बरबाद है
Work
Year
Language

चाँद एक बेवा की चूड़ी की तरह टूटा हुआ
हर सितारा बेसहारा सोच में दूबा हुआ
ग़म के बादल, इक जनाज़े की तरह ठहरे हुए
सिसकियों के साज़ पर कहता है दिल रोता हुआ

कोई नहीं मेरा इस दुनिया में आशिआँ बर्बाद है
आँसू भरी मुझे क़िस्मत मिली है ज़िन्दगी नाशाद है

जा हवा तू रस्ता ले अपन
क़िस्मत है मेरी जी के तड़पना) -2
आयी है मेरे ग़म पे जवानी
रोती हुई इक याद है
कोई नहीं मेरा …

सूख चुके हैं आँखों के झरने
लूट लिया हमें दाग़-ए-जिग़र ने
फूल नहीं ये ज़ख्म खिले हैं-2
आसमाँ सैय्याद है-2
कोई नहीं मेरा …

मौसम दुखों का सर पर है चाया
मुझसे जुदा है ख़ुद मेरा साया) -2
हम हैं अकेले ग़म के हैं मेले
रूह की फ़रियाद है
कोई नहीं मेरा …

chāṇd ek bevā kī chūṛī kī tarah ṭūṭā huā
har sitārā beshārā soch meṅ dūbā huā
ġham ke bādal, ik janāze kī tarah ṭhahre hue
siskiyoṅ ke sāz par kahtā hai dil rotā huā

koī nahīṅ merā is duniyā meṅ āśhiāṇ barbād hai
āṇsū bharī mujhe qismat milī hai zindgī nāśhād hai

jā havā tū rastā le apan
qismat hai merī jī ke taṛapnā) -2
āyī hai mere ġham pe javānī
rotī huī ik yād hai
koī nahīṅ merā …

sūkh chuke haiṅ āṇkhoṅ ke jharne
lūṭ liyā hameṅ dāġh-e-jiġhar ne
phūl nahīṅ ye zakhm khile haiṅ-2
āsmāṇ saiyyād hai-2
koī nahīṅ merā …

mausam dukhoṅ kā sar par hai chāyā
mujhse judā hai khud merā sāyā) -2
ham haiṅ akele ġham ke haiṅ mele
rūh kī fariyād hai
koī nahīṅ merā …