Koee chupke se aake sapne sajaake

कोई चुपके से आके सपने सजाके
Work
Year
Language

कोई चुपके से आके सपने सजाके
सपने सुलाके मुझको जगाके
बोले, कि मैं आ रहा हूँ
कौन आये ये मैं कैसे जानूँ
कोई चुपके से आके …

दूर कहीं बोले पपीहा
पिया आ, मौसम सुहाना
तरसे है कोई यहाँ
आ भी जा, करके बहाना
कौन सा बहाना, कैसा बहाना
कितना मुश्किल है ये बताना
देखो फिर भी कोई भा रहा है
कौन भाये ये मैं कैसे जानूँ
कोई चुपके से आके …

प्यासा है दिल का गगन
प्यार की अग्नि जलाये
पलकों में क़ैद है सावन
होंठों तक बात ना आये
बात आते आते रात हो गयी
चाहों की बारात छोड़ गयी साथ
बात आते आते हो गयी रात
इतनी रात गये कैसे गाऊँ?
देखो फिर भी कोई गा रहा है
कौन गाये ये मैं कैसे जानूँ
कोई चुपके से आके …

koī chupke se āke sapne sajāke
sapne sulāke mujhko jagāke
bole, ki maiṅ ā rahā hūṇ
kaun āye ye maiṅ kaise jānūṇ
koī chupke se āke …

dūr kahīṅ bole papīhā
piyā ā, mausam suhānā
tarse hai koī yahāṇ
ā bhī jā, karke bahānā
kaun sā bahānā, kaisā bahānā
kitnā muśhkil hai ye batānā
dekho phir bhī koī bhā rahā hai
kaun bhāye ye maiṅ kaise jānūṇ
koī chupke se āke …

pyāsā hai dil kā gagan
pyār kī agni jalāye
palkoṅ meṅ qaid hai sāvan
hoṅṭhoṅ tak bāt nā āye
bāt āte āte rāt ho gayī
chāhoṅ kī bārāt chhoṛ gayī sāth
bāt āte āte ho gayī rāt
itnī rāt gaye kaise gāūṇ?
dekho phir bhī koī gā rahā hai
kaun gāye ye maiṅ kaise jānūṇ
koī chupke se āke …