Kitne din aankhen tarsengee

कितने दिन आँखें तरसेंगी
Year
Language

कितने दिन आँखें तरसेंगी
कितने दिन यूँ दिल तरसेंगे
एक दिन तो बादल बरसेंगे, ऐ मेरे प्यासे दिल
आज नहीं तो कल महकेगी ख्वाबों की महफ़िल

सूने सूने से मुरझाये से है क्यूँ उम्मीदों के चेहरे
काँटों के सर पे ही बाँधे जायेंगे फूलों के सेहरे
नया ज़माना आयेगा, नया ज़माना आयेगा

ज़िंदगी पे सबका एक सा हक़ है, सब तस्लीम करेंगे
सारी खुशियाँ सारे दर्द बराबर हम तक़सीम करेंगे
नया ज़माना आयेगा, नया ज़माना आयेगा

kitne din āṇkheṅ tarseṅgī
kitne din yūṇ dil tarseṅge
ek din to bādal barseṅge, ai mere pyāse dil
āj nahīṅ to kal mahkegī khvāboṅ kī mahafil

sūne sūne se murjhāye se hai kyūṇ ummīdoṅ ke chehre
kāṇṭoṅ ke sar pe hī bāṇdhe jāyeṅge phūloṅ ke sehre
nayā zamānā āyegā, nayā zamānā āyegā

ziṅdgī pe sabkā ek sā haq hai, sab taslīm kareṅge
sārī khuśhiyāṇ sāre dard barābar ham taqsīm kareṅge
nayā zamānā āyegā, nayā zamānā āyegā