किसी तरह से मुहब्बत में चैन पा न सके
किसी तरह से मुहब्बत में चैन पा न सके
लगी वो आग है सीने में जो बुझा न सके
ज़ुबान चुप रही मेरी तो आँसू बोल उठे
छुपाई लाख मुहोब्बत मगर छुपा न सके
न जाने किस की है तसवीर आँसू आँसू में
के अपनी आँख से आँसू भी हम गिरा न सके
तबाही पूछ न दिल की तू हम से ऐ दुनिया
कुछ ऐसी उजड़ी है बस्ती के हम बसा न सके
किसी तरह से मुहोब्बत में चैन पा न सके
kisī tarah se muhabbat meṅ chain pā na sake
lagī vo āg hai sīne meṅ jo bujhā na sake
zubān chup rahī merī to āṇsū bol uṭhe
chhupāī lākh muhobbat magar chhupā na sake
na jāne kis kī hai tasvīr āṇsū āṇsū meṅ
ke apnī āṇkh se āṇsū bhī ham girā na sake
tabāhī pūchh na dil kī tū ham se ai duniyā
kuchh aisī ujaṛī hai bastī ke ham basā na sake
kisī tarah se muhobbat meṅ chain pā na sake