Kisee patthar kee moorat se mohabbat kaa iraadaa hai

किसी पत्थर की मूरत से मोहब्बत का इरादा है
Work
Year
Language

किसी पत्थर की मूरत से मोहब्बत का इरादा है
परस्तिश की तमन्ना है, इबादत का इरादा है

जो दिल की धड़कने समझे, ना आँखों की जुबाँ समझे
नज़र की गुफ्तगू समझे, ना जजबों का बयान समझे
उसी के सामने उसकी शिकायत का इरादा है

सुना है हर जवां पत्थर के दिल में आग होती है
मगर जब तक ना छेड़ो शर्म भी परदे में सोती है
ये सोचा है के दिल की बात उस के रूबरू कह दे
नतीजा कुछ भी निकले आज अपनी आरजू कह दे
हर एक बेजान तकल्लूफ़ से बग़ावत का इरादा है

मोहब्बत बेरूख़ी से और भड़केगी वो क्या जाने
तबीयत इस अदा पे और फड़केगी वो क्या जाने
वो क्या जाने के अपना किस कयामत का इरादा है

kisī patthar kī mūrat se mohabbat kā irādā hai
parastiśh kī tamannā hai, ibādat kā irādā hai

jo dil kī dhaṛakne samjhe, nā āṇkhoṅ kī jubāṇ samjhe
nazar kī guphtgū samjhe, nā jajboṅ kā bayān samjhe
usī ke sāmne uskī śhikāyat kā irādā hai

sunā hai har javāṅ patthar ke dil meṅ āg hotī hai
magar jab tak nā chheṛo śharm bhī parde meṅ sotī hai
ye sochā hai ke dil kī bāt us ke rūbrū kah de
natījā kuchh bhī nikle āj apnī ārjū kah de
har ek bejān takallūf se baġhāvat kā irādā hai

mohabbat berūkhī se aur bhaṛkegī vo kyā jāne
tabīyat is adā pe aur phaṛkegī vo kyā jāne
vo kyā jāne ke apnā kis kayāmat kā irādā hai