Kisee kee yaad men ro-ro ke ... mohabbat karne vaalon kaa

किसी की याद में रो-रो के ... मोहब्बत करने वालों का
Work
Year
Language

किसी की याद में रो-रो के अपने
दिन गुज़रते हैं
ये कैसी ज़िन्दगी है
हम न जीते हैं न मरते हैं

मोहब्बत करने वालों का -2
यही अंजाम होता है
तड़पना उनकी क़िसमत में -2
तो सुबह-ओ-शाम होता है

मोहब्बत करने वालों का
यही अंजाम होता है

( हमेशा के लिये दुनिया में
दो दिल मिल नहीं सकते ) -2
दो दिल मिल नहीं सकते
नज़र मिलना जुदाई का -2
ही इक पैग़ाम होता है

मोहब्बत करने वालों का
यही अंजाम होता है

( न दिल में चैन है हमको
न रातों को क़रार आये ) -2
न रातों को क़रार आये
बता दे कोई दुनिया में -2
कहाँ आराम होता है

मोहब्बत करने वालों का
यही अंजाम होता है

( मेरी बरबादियाँ भी देख लीं
तुमने जहाँ वालों ) -2
तुमने जहाँ वालों
जो करता है मोहब्बत वो -2
यूँ ही नाकाम होता है

मोहब्बत करने वालों का
यही अंजाम होता है

kisī kī yād meṅ ro-ro ke apne
din guzarte haiṅ
ye kaisī zindgī hai
ham na jīte haiṅ na marte haiṅ

mohabbat karne vāloṅ kā -2
yahī aṅjām hotā hai
taṛapnā unkī qismat meṅ -2
to subah-o-śhām hotā hai

mohabbat karne vāloṅ kā
yahī aṅjām hotā hai

( hameśhā ke liye duniyā meṅ
do dil mil nahīṅ sakte ) -2
do dil mil nahīṅ sakte
nazar milnā judāī kā -2
hī ik paiġhām hotā hai

mohabbat karne vāloṅ kā
yahī aṅjām hotā hai

( na dil meṅ chain hai hamko
na rātoṅ ko qarār āye ) -2
na rātoṅ ko qarār āye
batā de koī duniyā meṅ -2
kahāṇ ārām hotā hai

mohabbat karne vāloṅ kā
yahī aṅjām hotā hai

( merī barbādiyāṇ bhī dekh līṅ
tumne jahāṇ vāloṅ ) -2
tumne jahāṇ vāloṅ
jo kartā hai mohabbat vo -2
yūṇ hī nākām hotā hai

mohabbat karne vāloṅ kā
yahī aṅjām hotā hai