Kise maaloom thaa do din men saavan beet jaayegaa

किसे मालूम था दो दिन में सावन बीत जायेगा
Work
Year
Language

किसे मालूम था दो दिन में सावन बीत जायेगा
तमन्नाएं हमरी यूँ तड़पती छोड़ जायेगा
सावन बीत जायेगा
किसे मालूम था …

दिल-ए-बेताब तेरी याद में आँसू बहायेगा
हमें रह-रह के ये ज़ालिम ज़माना याद आयेगा
सावन बीत जायेगा
किसे मालूम था दो दिन में …

ज़बाँ बेदर्दियाँ उस की न कहने पायेगी लेकिन
हमारी आँख का पानी कहानी कह सुनायेगा
सावन बीत जायेगा
किसे मालूम था …

जहाँ वालों अरे हम ने किसी का क्‌या बिगाड़ा था
हमारी राह में भगवान भी काँते बिछायेगा
सावन बीत जायेगा
किसे मालूम था …

kise mālūm thā do din meṅ sāvan bīt jāyegā
tamannāeṅ hamrī yūṇ taṛaptī chhoṛ jāyegā
sāvan bīt jāyegā
kise mālūm thā …

dil-e-betāb terī yād meṅ āṇsū bahāyegā
hameṅ rah-rah ke ye zālim zamānā yād āyegā
sāvan bīt jāyegā
kise mālūm thā do din meṅ …

zabāṇ bedardiyāṇ us kī na kahne pāyegī lekin
hamārī āṇkh kā pānī kahānī kah sunāyegā
sāvan bīt jāyegā
kise mālūm thā …

jahāṇ vāloṅ are ham ne kisī kā k‌yā bigāṛā thā
hamārī rāh meṅ bhagvān bhī kāṇte bichhāyegā
sāvan bīt jāyegā
kise mālūm thā …