खुश रहो हर खुशी है तुम्हारे लिए
खुश रहो, हर खुशी है तुम्हारे लिए
छोड़ दो आंसूओं को हमारे लिए
क्यों उदासी की तस्वीर बनकर खड़े
ग़म उठाने को दुनिया में हम तो पड़े
मुस्कुराने के दिन हैं, ना आहें भरो
मेरे होते ना खुद को परेशान करो
बिजली चमके तुम्हें ड़र की क्या बात है
रोशनी की यही तो शुरूवात है
टूटनी है जो बिजली मेरा सर तो है
जो अंधेरे हैं बेघर, मेरा घर तो है
तुम बहारों से शिकवा ना करना कभी
दे दो काँटे हमें फूल ले लो सभी
फूल कोई कुचल जाए जब भूल में
सोच लेना के हम मिल चूके धूल में
khuśh raho, har khuśhī hai tumhāre lie
chhoṛ do āṅsūoṅ ko hamāre lie
kyoṅ udāsī kī tasvīr bankar khaṛe
ġham uṭhāne ko duniyā meṅ ham to paṛe
muskurāne ke din haiṅ, nā āheṅ bharo
mere hote nā khud ko pareśhān karo
bijlī chamke tumheṅ ṛar kī kyā bāt hai
rośhnī kī yahī to śhurūvāt hai
ṭūṭnī hai jo bijlī merā sar to hai
jo aṅdhere haiṅ beghar, merā ghar to hai
tum bahāroṅ se śhikvā nā karnā kabhī
de do kāṇṭe hameṅ phūl le lo sabhī
phūl koī kuchal jāe jab bhūl meṅ
soch lenā ke ham mil chūke dhūl meṅ