Kho gayaa jaane kahaan

खो गया जाने कहाँ
Work
Year
Language

आ आ आ

(खो गया जाने कहाँ आरज़ू का जहाँ) -2
मुद्दतें गुज़री मगर याद है वो दास्ताँ
खो गया जाने कहाँ …

दाग़ मिट सकते नहीं दिल से तेरी याद के
इस तरह भूले कोई गुज़रे बहारों का समा
खो गया जाने कहाँ …

आ आ आ
(ज़िंदगी वीराँ है एक सेहरा की तरह) -2
(दिल मेरा बेताब है मौज-ए-दरिया की तरह) -2
ग़म की मैं तसवीर हूँ आ आ आ
ग़म की मैं तसवीर हूँ बेकसी की दास्ताँ
खो गया जाने कहाँ …

क़ाफ़िले आते रहें क़ाफ़िले जाते रहें
मेरी मंज़िल का मगर ना मिला मुझको निशान
खो गया जाने कहाँ …

ā ā ā

(kho gayā jāne kahāṇ ārazū kā jahāṇ) -2
muddteṅ guzrī magar yād hai vo dāstāṇ
kho gayā jāne kahāṇ …

dāġh miṭ sakte nahīṅ dil se terī yād ke
is tarah bhūle koī guzre bahāroṅ kā samā
kho gayā jāne kahāṇ …

ā ā ā
(ziṅdgī vīrāṇ hai ek sehrā kī tarah) -2
(dil merā betāb hai mauj-e-dariyā kī tarah) -2
ġham kī maiṅ tasvīr hūṇ ā ā ā
ġham kī maiṅ tasvīr hūṇ beksī kī dāstāṇ
kho gayā jāne kahāṇ …

qāfile āte raheṅ qāfile jāte raheṅ
merī maṅzil kā magar nā milā mujhko niśhān
kho gayā jāne kahāṇ …