Khayaalon men kisee ke is tarah aayaa naheen karte

खयालों में किसी के इस तरह आया नहीं करते
Work
Year
Language

ख़यालों में किसी के इस तरह आया नहीं करते
किसी को बेवफ़ा के तड़पाया नहीं करते

दिलों को रौंदकर दिल अपना बहलाया नहीं करते
जो ठुकराये गये हो उन को, ठुकराया नहीं करते

हसीं फूलों की दो दिन चाँदनी भी चार दिन की हैं
मिली हो चाँद सी सूरत तो इतराया नहीं करते

जिन्हे मिटना हो वो मिटने से ड़र जाया नहीं करते
मोहब्बत करनेवाले ग़म से घबराया नहीं करते

मोहब्बत का सबक सिखो, ये जा कर जलनेवालों से
के दिल की बात भी लब तक कभी लाया नहीं करते

khayāloṅ meṅ kisī ke is tarah āyā nahīṅ karte
kisī ko bevafā ke taṛpāyā nahīṅ karte

diloṅ ko rauṅdkar dil apnā bahlāyā nahīṅ karte
jo ṭhukrāye gaye ho un ko, ṭhukrāyā nahīṅ karte

hasīṅ phūloṅ kī do din chāṇdnī bhī chār din kī haiṅ
milī ho chāṇd sī sūrat to itrāyā nahīṅ karte

jinhe miṭnā ho vo miṭne se ṛar jāyā nahīṅ karte
mohabbat karnevāle ġham se ghabrāyā nahīṅ karte

mohabbat kā sabak sikho, ye jā kar jalnevāloṅ se
ke dil kī bāt bhī lab tak kabhī lāyā nahīṅ karte