Khataa to jab ho ke ham haal-e-dil kisee se kahen

खता तो जब हो के हम हाल-ए-दिल किसी से कहें
Year
Language

खता तो जब हो के हम हाल-ए-दिल किसी से कहें
किसी को चाहते रहना कोई खता तो नहीं

अमीर तू है मगर ये तेरी खता हो नहीं
गरीब मैं हूँ मगर ये मेरी खता हो नहीं
किसी को चाहते रहना …

तुझे भी प्यार है मुझसे मैं जानती हूँ सनम
ये बात और है मुझसे कभी कहा तो नहीं -2
किसी को चाहते रहना …

हर एक पल मैं तुझे याद किया करता हूँ
तुझे भुला के मैं पल भर कभी जिया तो नहीं -2
किसी को चाहते रहना …

khatā to jab ho ke ham hāl-e-dil kisī se kaheṅ
kisī ko chāhte rahnā koī khatā to nahīṅ

amīr tū hai magar ye terī khatā ho nahīṅ
garīb maiṅ hūṇ magar ye merī khatā ho nahīṅ
kisī ko chāhte rahnā …

tujhe bhī pyār hai mujhse maiṅ jāntī hūṇ sanam
ye bāt aur hai mujhse kabhī kahā to nahīṅ -2
kisī ko chāhte rahnā …

har ek pal maiṅ tujhe yād kiyā kartā hūṇ
tujhe bhulā ke maiṅ pal bhar kabhī jiyā to nahīṅ -2
kisī ko chāhte rahnā …