Khabar kisee ko naheen vo kidhar ko dekhte hain

खबर किसी को नहीं वो किधर को देखते हैं
Work
Year
Language

र: खबर किसी को नहीं वो किधर को देखते हैं
ये कौन जाने कि दिल या जिगर को देखते हैं
नज़र बचा के हम उनकी नज़र को देखते हैं
जो बेखबर है उसी बेखबर को देखते हैं
दुआएं माँग रहे हैं, हाय्! असर को देखते हैं

दु: सुना है उनको भी हम बेकसो से उल्फ़त है
कोई बताओ कि कैसी हमारी किस्मत है
धड़क रहा है दिल अपनी अजीब हालत है
वो आये हमारे घर में खुदा की कुदरत है
कभी हम उनको को कभी अपने घर को देखते हैं

मु: अजी ये इश्क़ देखिये क्‌या दिन दिखाने वाला है
ज़रूर कोई नया गुल खिलाने वाल है
चमन से और कहीं ले के जाने वाला है
जवाब खत का मेरे आज आने वाला है
र: अरे भै ज़रूर आयेगा spoken
मु: कभी घड़ी को कभी नामबर को देखते हैं

ra: khabar kisī ko nahīṅ vo kidhar ko dekhte haiṅ
ye kaun jāne ki dil yā jigar ko dekhte haiṅ
nazar bachā ke ham unkī nazar ko dekhte haiṅ
jo bekhabar hai usī bekhabar ko dekhte haiṅ
duāeṅ māṇg rahe haiṅ, hāy! asar ko dekhte haiṅ

du: sunā hai unko bhī ham bekso se ulfat hai
koī batāo ki kaisī hamārī kismat hai
dhaṛak rahā hai dil apnī ajīb hālat hai
vo āye hamāre ghar meṅ khudā kī kudarat hai
kabhī ham unko ko kabhī apne ghar ko dekhte haiṅ

mu: ajī ye iśhq dekhiye k‌yā din dikhāne vālā hai
zarūr koī nayā gul khilāne vāl hai
chaman se aur kahīṅ le ke jāne vālā hai
javāb khat kā mere āj āne vālā hai
ra: are bhai zarūr āyegā spoken
mu: kabhī ghaṛī ko kabhī nāmbar ko dekhte haiṅ