Kaun jeevan men mere samaaye jaa rahaa hai

कौन जीवन में मेरे समाये जा रहा है
Year
Language

कौन जीवन में मेरे समाये जा रहा है -2
कौन मन पे मेरे छाये जा रहा है
कौन जीवन में मेरे समाये जा रहा है

कौन बरखा की काली-काली रात में -2
बन के साया चल रहा है साथ में -2
कौन दीपक बन के राह दिखला रहा है
कौन जीवन में मेरे समाये जा रहा है -2

कोई साथी न था कोई मीत ना था -2
मेरे सूनी वीना में कोई गीत ना था -2
कौन मीठे सुरों से ये गाये जा रहा है -2
कौन मन को मेरे लुभाये जा रहा है -2

कौन जीवन में मेरे समाये जा रहा है -2

kaun jīvan meṅ mere samāye jā rahā hai -2
kaun man pe mere chhāye jā rahā hai
kaun jīvan meṅ mere samāye jā rahā hai

kaun barkhā kī kālī-kālī rāt meṅ -2
ban ke sāyā chal rahā hai sāth meṅ -2
kaun dīpak ban ke rāh dikhlā rahā hai
kaun jīvan meṅ mere samāye jā rahā hai -2

koī sāthī na thā koī mīt nā thā -2
mere sūnī vīnā meṅ koī gīt nā thā -2
kaun mīṭhe suroṅ se ye gāye jā rahā hai -2
kaun man ko mere lubhāye jā rahā hai -2

kaun jīvan meṅ mere samāye jā rahā hai -2