Kaun hai jo sapnon men aayaa, kaun hai jo dil men samaayaa

कौन है जो सपनों में आया, कौन है जो दिल में समाया
Year
Language

कौन है जो सपनों में आया
कौन है जो दिल में समाया
लो झुक गया आसमां भी
इश्क़ मेरा रंग लाया
ओ प्रिया, ओ प्रिया…

ज़िन्दगी के हर इक मोड़ पे मैं
गीत गाता चला जा रहा हूँ
बेखुदी का ये आलम न पूछो
मन्ज़िलों से बढ़ा जा रहा हूँ, …

सज गई आज सारी दिशाएं
खुल गईं आज जन्नत की राहें
हुस्न जबसे मेरा हो गया है
मुझपे पड़ती हैं सबकी निगाहें, …

जिस्म को मौत आती है लेकिन
रूह को मौत आती नहीं है
इश्क़ रौशन है रौशन रहेगा
रौशनी इसकी जाती नहीं है, …

kaun hai jo sapnoṅ meṅ āyā
kaun hai jo dil meṅ samāyā
lo jhuk gayā āsmāṅ bhī
iśhq merā raṅg lāyā
o priyā, o priyā…

zindgī ke har ik moṛ pe maiṅ
gīt gātā chalā jā rahā hūṇ
bekhudī kā ye ālam na pūchho
manziloṅ se baṛhā jā rahā hūṇ, …

saj gaī āj sārī diśhāeṅ
khul gaīṅ āj jannat kī rāheṅ
husn jabse merā ho gayā hai
mujhpe paṛtī haiṅ sabkī nigāheṅ, …

jism ko maut ātī hai lekin
rūh ko maut ātī nahīṅ hai
iśhq rauśhan hai rauśhan rahegā
rauśhnī iskī jātī nahīṅ hai, …