Kaun aayaa mere man ke dvaare, paayal kee jhankaar liye

कौन आया मेरे मन के द्वारे, पायल की झनकार लिये
Year
Language

(कौन आया मेरे मन के द्वारे,
पायल की झनकार लिये ) - 2
कौन आया …

(आँख न जाने, दिल पहचाने
सूरतिया कुछ ऐसी ) - 2
याद करुँ तो, याद न आये
मूरतिया ये कैसी
पागल मनवा, सोच में डूबा
सपनों का संसार लिये
कौन आया …

(इक पल सोचूँ, मेरी आशा
रूप बदल कर आई) - 2
दूजे पल फिर, ध्यान ये आए
हो न कहीं परछाईं
जो परदेसी के, घर आई
एक अनोखा प्यार लिये
कौन आया …

(kaun āyā mere man ke dvāre,
pāyal kī jhankār liye ) - 2
kaun āyā …

(āṇkh na jāne, dil pahchāne
sūrtiyā kuchh aisī ) - 2
yād karuṇ to, yād na āye
mūrtiyā ye kaisī
pāgal manvā, soch meṅ ḍūbā
sapnoṅ kā saṅsār liye
kaun āyā …

(ik pal sochūṇ, merī āśhā
rūp badal kar āī) - 2
dūje pal phir, dhyān ye āe
ho na kahīṅ parchhāīṅ
jo pardesī ke, ghar āī
ek anokhā pyār liye
kaun āyā …