Kashtee kaa khaamosh safar hai

कश्ती का खामोश सफ़र है
Year
Language

कश्ती का खामोश सफ़र है, शाम भी है, तनहाई भी
दूर किनारे पर बजती है, लहरों की शहनाई भी
आज मुझे कुछ कहना है, आज मुझे कुछ कहना है
लेकिन ये शर्मिली निगाहें मुझको इजाज़त दे तो कहूँ
खुद मेरी बेताब उमंगें थोड़ी फुरसत दे तो कहूँ
आज मुझे कुछ कहना है, आज मुझे कुछ कहना है
जो कुछ तुमको कहना है, वो मेरे ही दिल की बात ना हो
जो है मेरे ख्वाबों की मंज़िल उस मंज़िल की बात ना हो
कहते हुये ड़र सा लगता है, कहकर बात ना खो बैठू
ये जो जरा सा साथ मिला है, ये भी साथ ना खो बैठू
कब से तुम्हारे रस्ते में मैं फूल बिछाये बैठी हूँ
कह भी चुको जो कहना है, मैं आस लगाये बैठी हूँ
दिल ने दिल की बात समझ ली, अब मुह से क्या कहना है
आज नही तो कल कह लेंगे, अब तो साथ ही रहना है
कह भी चुको जो कहना है
छोडो अब क्या कहना है

kaśhtī kā khāmośh safar hai, śhām bhī hai, tanhāī bhī
dūr kināre par bajtī hai, lahroṅ kī śhahnāī bhī
āj mujhe kuchh kahnā hai, āj mujhe kuchh kahnā hai
lekin ye śharmilī nigāheṅ mujhko ijāzat de to kahūṇ
khud merī betāb umaṅgeṅ thoṛī phurasat de to kahūṇ
āj mujhe kuchh kahnā hai, āj mujhe kuchh kahnā hai
jo kuchh tumko kahnā hai, vo mere hī dil kī bāt nā ho
jo hai mere khvāboṅ kī maṅzil us maṅzil kī bāt nā ho
kahte huye ṛar sā lagtā hai, kahkar bāt nā kho baiṭhū
ye jo jarā sā sāth milā hai, ye bhī sāth nā kho baiṭhū
kab se tumhāre raste meṅ maiṅ phūl bichhāye baiṭhī hūṇ
kah bhī chuko jo kahnā hai, maiṅ ās lagāye baiṭhī hūṇ
dil ne dil kī bāt samajh lī, ab muh se kyā kahnā hai
āj nahī to kal kah leṅge, ab to sāth hī rahnā hai
kah bhī chuko jo kahnā hai
chhoḍo ab kyā kahnā hai