Karoge yaad to har baat yaad aayegee

करोगे याद तो हर बात याद आयेगी
Work
Year
Language

करोगे याद तो हर बात याद आयेगी
गुजरते वक्त की, हर मौज ठहर जायेगी

ये चाँद बीते जमानो का आईना होगा
भटकते अब्र में चेहरा कोई बना होगा
उदास राह कोई दास्तां सुनाएगी

बरसता भीगता मौसम धुआँ धुआँ होगा
पिघलती शम्मो पे दिल का मेरे गुमा होगा
हथेलियों की हिना याद कुछ दिलायेगी

गली के मोड़ पे सूना सा कोई दरवाजा
तरसती आँखों से रस्ता किसी का देखेगा
निगाह दूर तलक जा के लौट आयेगी

karoge yād to har bāt yād āyegī
gujarte vakt kī, har mauj ṭhahar jāyegī

ye chāṇd bīte jamāno kā āīnā hogā
bhaṭakte abr meṅ chehrā koī banā hogā
udās rāh koī dāstāṅ sunāegī

barastā bhīgtā mausam dhuāṇ dhuāṇ hogā
pighaltī śhammo pe dil kā mere gumā hogā
hatheliyoṅ kī hinā yād kuchh dilāyegī

galī ke moṛ pe sūnā sā koī darvājā
tarastī āṇkhoṅ se rastā kisī kā dekhegā
nigāh dūr talak jā ke lauṭ āyegī