Karoge yaad to, har baat yaad aayegee

करोगे याद तो, हर बात याद आयेगी
Work
Year
Language

करोगे याद तो, हर बात याद आयेगी - 2
गुज़रते वक़्त की, हर मौज ठहर जायेगी - 2
करोगे याद तो …

ये चाँद बीते ज़मानों का आईना होगा - 2
भटकते अब्र में, चहरा कोई बना होगा
उदास राह कोई दास्तां सुनाएगी - 2
करोगे याद तो …

बरसता-भीगता मौसम धुआँ-धुआँ होगा - 2
पिघलती शमों पे दिल का मेरे ग़ुमां होगा
हथेलियों की हिना, याद कुछ दिलायेगी - 2
करोगे याद तो …

गली के मोड़ पे, सूना सा कोई दरवाज़ा - 2
तरसती आँखों से रस्ता किसी का देखेगा
निगाह दूर तलक जा के लौट आएगी - 2
करोगे याद तो …

karoge yād to, har bāt yād āyegī - 2
guzarte vaqt kī, har mauj ṭhahar jāyegī - 2
karoge yād to …

ye chāṇd bīte zamānoṅ kā āīnā hogā - 2
bhaṭakte abr meṅ, chahrā koī banā hogā
udās rāh koī dāstāṅ sunāegī - 2
karoge yād to …

barastā-bhīgtā mausam dhuāṇ-dhuāṇ hogā - 2
pighaltī śhamoṅ pe dil kā mere ġhumāṅ hogā
hatheliyoṅ kī hinā, yād kuchh dilāyegī - 2
karoge yād to …

galī ke moṛ pe, sūnā sā koī darvāzā - 2
tarastī āṇkhoṅ se rastā kisī kā dekhegā
nigāh dūr talak jā ke lauṭ āegī - 2
karoge yād to …