करी जो हमने ज़रा सी चोरी ... ये दुनिया तेरी न मेरी
करी जो हमने ज़रा सी चोरी मिली जेल की चक्की
बड़ी डकैती करे जो कोई उसकी कुर्सी पक्की
ये दुनिया तेरी न मेरी
मोटे चोरों की
ये दुनिया तेरी …
आज जो साहूकार बने हैं कल थे भिखारी
ये दौलत सारी कहाँ से मारी
कहो ये business है कि लूट है
तमाशा देखा ज़माना देखा
ये दुनिया तेरी न मेरी
अरे सेठ महाजन और बनियों की
जब बन ढोंगी करे है चोरी मुनाफ़ाख़ोरी
कहो मैं सच बोला कि झूठ
तमाशा देखा ज़माना देखा
ये दुनिया तेरी …
दीन-धर्म का शोर मचाकर बनता है जो नेता
जो चक्कर देता है जो वोटें लेता है
जो बकता हो अनाप-शनाप
क्या कम है उसका पाप
तो फिर
तमाशा देखा ज़माना देखा
ये दुनिया तेरी …
karī jo hamne zarā sī chorī milī jel kī chakkī
baṛī ḍakaitī kare jo koī uskī kursī pakkī
ye duniyā terī na merī
moṭe choroṅ kī
ye duniyā terī …
āj jo sāhūkār bane haiṅ kal the bhikhārī
ye daulat sārī kahāṇ se mārī
kaho ye business hai ki lūṭ hai
tamāśhā dekhā zamānā dekhā
ye duniyā terī na merī
are seṭh mahājan aur baniyoṅ kī
jab ban ḍhoṅgī kare hai chorī munāfākhorī
kaho maiṅ sach bolā ki jhūṭh
tamāśhā dekhā zamānā dekhā
ye duniyā terī …
dīn-dharm kā śhor machākar bantā hai jo netā
jo chakkar detā hai jo voṭeṅ letā hai
jo baktā ho anāp-śhanāp
kyā kam hai uskā pāp
to phir
tamāśhā dekhā zamānā dekhā
ye duniyā terī …