Kal raat zindgee se mulaaqaat ho gaee

कल रात ज़िन्दगी से मुलाक़ात हो गई
Work
Year
Language

कल रात ज़िन्दगी से मुलाक़ात हो गई
लब थरथरा रहे थे मगर बात हो गई
कल रात ज़िन्दगी …

एक हुस्न सामने था क़यामत के रूप में
एक ख़्वाब जल्वागर था हक़ीक़त के रूप में
चेहरा वही गुलाब की रंगत लिए हुए
नज़रें वही पयाम-ए-मुहब्बत लिए हुए
ज़ुल्फ़ें वही कि जैसे धुँधलका हो शाम का
आँखें वही जिन आँखों पे धोखा हो जाम का
कुछ देर को तसल्ली-ए-जज़्बात हो गई
लब थरथरा रहे …

देखा उसे तो दामन-ए-रुख़्सार नम भी था
वल्लाह उसके दिल को कुछ एहसास-ए-ग़म भी था
थे उसकी हसरतों के ख़ज़ाने लुटे हुए
लब पर तड़प रहे थे फ़साने घुटे हुए
काँटे चुभे हुए थे सिसकती उमंग में
डूबी हुई थी फिर भी वो वफ़ाओ के रंग में
दम भर को ख़त्म गर्दिश-ए-हालात हो गई
लब थरथरा रहे …

ए मेरी रूह-ए-इश्क़ मेरी जान-ए-शायरी
दिल मानता नहीं कि तू मुझसे बिछड़ गई
मायूसियाँ हैं फिर भी मेरे दिल को आस है
महसूस हो रहा है के तू मेरे पास है
समझाऊँ किस तरह से दिल-ए-बेक़रार को
वापस कहाँ से लाऊँ मैं गुज़री बहार को
मजबूर दिल के साथ बड़ी घात हो गई
लब थरथरा रहे …

kal rāt zindgī se mulāqāt ho gaī
lab tharathrā rahe the magar bāt ho gaī
kal rāt zindgī …

ek husn sāmne thā qayāmat ke rūp meṅ
ek khvāb jalvāgar thā haqīqat ke rūp meṅ
chehrā vahī gulāb kī raṅgat lie hue
nazreṅ vahī payām-e-muhabbat lie hue
zulfeṅ vahī ki jaise dhuṇdhalkā ho śhām kā
āṇkheṅ vahī jin āṇkhoṅ pe dhokhā ho jām kā
kuchh der ko tasallī-e-jazbāt ho gaī
lab tharathrā rahe …

dekhā use to dāman-e-rukhsār nam bhī thā
vallāh uske dil ko kuchh ehsās-e-ġham bhī thā
the uskī hasartoṅ ke khazāne luṭe hue
lab par taṛap rahe the fasāne ghuṭe hue
kāṇṭe chubhe hue the sisaktī umaṅg meṅ
ḍūbī huī thī phir bhī vo vafāo ke raṅg meṅ
dam bhar ko khatm gardiśh-e-hālāt ho gaī
lab tharathrā rahe …

e merī rūh-e-iśhq merī jān-e-śhāyrī
dil māntā nahīṅ ki tū mujhse bichhaṛ gaī
māyūsiyāṇ haiṅ phir bhī mere dil ko ās hai
mahsūs ho rahā hai ke tū mere pās hai
samjhāūṇ kis tarah se dil-e-beqrār ko
vāpas kahāṇ se lāūṇ maiṅ guzrī bahār ko
majbūr dil ke sāth baṛī ghāt ho gaī
lab tharathrā rahe …