Kal ke sapne aaj bhee aanaa

कल के सपने आज भी आना
Work
Year
Language

कल के सपने आज भी आना
प्रीतम को भी साथ में लाना

आज भी दिन है मधुर सुहाना
बाज रही है मन की बासूरीयां
नैनों के तट पे, प्रेम के रथ पे
लौट के अब तो, आ जा साँवरिया
मैं भी सुनाऊँ दिल का तराना

झूमते बादल, गाते झरने
आज किसी को ढूँढ रहे है
मैं तो ये जानू सारे नज़ारे
सजना तुझ ही को ढूँढ रहे है
आज मुझे भी दरस दिखाना

मेरी नगरीया, आ मेरे रसिया
डगर डगर मैं अखियाँ बिछाऊँ
दिल में बिठा के, नैन मिला के
जनम जनम की प्यास बुझाऊँ
तोहे सिखाऊँ, प्रीत निभाना

kal ke sapne āj bhī ānā
prītam ko bhī sāth meṅ lānā

āj bhī din hai madhur suhānā
bāj rahī hai man kī bāsūrīyāṅ
nainoṅ ke taṭ pe, prem ke rath pe
lauṭ ke ab to, ā jā sāṇvriyā
maiṅ bhī sunāūṇ dil kā tarānā

jhūmte bādal, gāte jharne
āj kisī ko ḍhūṇḍh rahe hai
maiṅ to ye jānū sāre nazāre
sajnā tujh hī ko ḍhūṇḍh rahe hai
āj mujhe bhī daras dikhānā

merī nagrīyā, ā mere rasiyā
ḍagar ḍagar maiṅ akhiyāṇ bichhāūṇ
dil meṅ biṭhā ke, nain milā ke
janam janam kī pyās bujhāūṇ
tohe sikhāūṇ, prīt nibhānā