Kaise manaaen deevaalee ... baarah maheene deevaalaa

कैसे मनाएँ दीवाली ... बारह महीने दीवाला
Work
Year
Language

कैसे मनाएँ दीवाली हम लाला अपना तो बारह महीने दीवाला
हम तो हुए देखो ठन ठन गोपाला
अपना तो बारह महीने …

दुनिया ये बाबू बड़ी बेशरम अरे करती है चंपत पराई रकम
चलतों ने कर ली है मुट्ठी गरम बिल्कुल ही उल्लू के पट्ठे हैं हम
हमारे से तो अच्छा है बनिए का साला
अपना तो बारह महीने …

मर-मर के हम रोज़ मेहनत करें और यारों को देखो तिजोरी भरें
दिन-रात हम तो गुलामी करें फोकट में ये सांड चरें
बनके हमारे होंठों पे ताला
अपना तो बारह महीने …

हम तो खिचड़ी ही खाते रहे अरे हलवा लफ़ंगे उड़ाते रहे
हम मुफ़्त में झाड़ू लगाते रहे गंगा में गधे नहाते रहे
दाता तेरी अक्‌ल को है काय झाला
अपना तो बारह महीने …

kaise manāeṇ dīvālī ham lālā apnā to bārah mahīne dīvālā
ham to hue dekho ṭhan ṭhan gopālā
apnā to bārah mahīne …

duniyā ye bābū baṛī beśhram are kartī hai chaṅpat parāī rakam
chaltoṅ ne kar lī hai muṭṭhī garam bilkul hī ullū ke paṭṭhe haiṅ ham
hamāre se to achchhā hai banie kā sālā
apnā to bārah mahīne …

mar-mar ke ham roz mehnat kareṅ aur yāroṅ ko dekho tijorī bhareṅ
din-rāt ham to gulāmī kareṅ phokaṭ meṅ ye sāṅḍ chareṅ
banke hamāre hoṅṭhoṅ pe tālā
apnā to bārah mahīne …

ham to khichaṛī hī khāte rahe are halvā lafaṅge uṛāte rahe
ham muft meṅ jhāṛū lagāte rahe gaṅgā meṅ gadhe nahāte rahe
dātā terī ak‌la ko hai kāy jhālā
apnā to bārah mahīne …