Kahe jhoom-jhoom raat ye suhaanee

कहे झूम-झूम रात ये सुहानी
Year
Language

कहे झूम-झूम रात ये सुहानी
पिया हौले से छेड़ो दुबारा
वही कल की रसीली कहानी
कहे झूम-झूम रात …

सुन के जिसे दिल मेरा धड़का
लाज के सर से आँचल सरका
रात ने ऐसा जादू फेरा
और ही निकला रंग सहर का
कहे झूम-झूम रात …

मस्ती भरी ये ख़ामोशी
चुप हूँ खड़ी देखो मैं खोई सी
देख रही हूँ मैं एक सपना
कुछ जागी सी कुछ सोई सी
कहे झूम-झूम रात …

तन भी तुम्हारा मन भी तुम्हारा
तुमसे ही बालम जग उजियारा
रोम-रोम मेरा आज मनाए
छूटे कभी न साथ तुम्हारा
कहे झूम-झूम रात …

kahe jhūm-jhūm rāt ye suhānī
piyā haule se chheṛo dubārā
vahī kal kī rasīlī kahānī
kahe jhūm-jhūm rāt …

sun ke jise dil merā dhaṛkā
lāj ke sar se āṇchal sarkā
rāt ne aisā jādū pherā
aur hī niklā raṅg sahar kā
kahe jhūm-jhūm rāt …

mastī bharī ye khāmośhī
chup hūṇ khaṛī dekho maiṅ khoī sī
dekh rahī hūṇ maiṅ ek sapnā
kuchh jāgī sī kuchh soī sī
kahe jhūm-jhūm rāt …

tan bhī tumhārā man bhī tumhārā
tumse hī bālam jag ujiyārā
rom-rom merā āj manāe
chhūṭe kabhī na sāth tumhārā
kahe jhūm-jhūm rāt …