Kahaan tak sunoge kahaan tak sunaaoon

कहाँ तक सुनोगे कहाँ तक सुनाऊँ
Work
Year
Language

मुहब्बत का नग़मा है मैं नग़मागर हूँ
ये नामा किसी का है मैं नामाबर हूँ
पढूँ ख़त के मज़मूँ ज़ुबानी सुनाऊँ

हज़ारों ही शिकवे हैं क्‌या क्‌या बताऊँ

कहाँ तक सुनोगे, कहाँ तक सुनाऊँ
हज़ारों ही शिकवे हैं क्‌या क्‌या बताऊँ
कहाँ तक सुनोगे, कहाँ तक सुनाऊँ

हुज़ूर आप पर इक जहाँ की नज़र है
निगाह-ए-करम से भी मुझ को ये डर है
जहाँ की नज़र में कहीं आ ना जाऊँ
कहाँ तक सुनोगे …

ज़माना हुआ है मुझे मुस्कुराए
मुहब्बत में क्‌या क्‌या ना सदमें उठाये
किसे याद रख्खूँ किसे भूल जाऊँ
कहाँ तक सुनोगे …

muhabbat kā naġhmā hai maiṅ naġhmāgar hūṇ
ye nāmā kisī kā hai maiṅ nāmābar hūṇ
paḍhūṇ khat ke mazmūṇ zubānī sunāūṇ

hazāroṅ hī śhikve haiṅ k‌yā k‌yā batāūṇ

kahāṇ tak sunoge, kahāṇ tak sunāūṇ
hazāroṅ hī śhikve haiṅ k‌yā k‌yā batāūṇ
kahāṇ tak sunoge, kahāṇ tak sunāūṇ

huzūr āp par ik jahāṇ kī nazar hai
nigāh-e-karam se bhī mujh ko ye ḍar hai
jahāṇ kī nazar meṅ kahīṅ ā nā jāūṇ
kahāṇ tak sunoge …

zamānā huā hai mujhe muskurāe
muhabbat meṅ k‌yā k‌yā nā sadmeṅ uṭhāye
kise yād rakhkhūṇ kise bhūl jāūṇ
kahāṇ tak sunoge …