Kahaan se aaye badraa

कहाँ से आये बदरा
Year
Language

कहाँ से आए बदरा
घुलता जाए कजरा
कहाँ से आए बदरा
घुलता जाए कजरा

पलकों के सतरंगे दीपक
बन बैठे आँसू कि झालर
मोती का अनमोलक हीरा
मिट्टी मे जा फिसला
कहाँ से आए बदरा …

नींद पिया के संग सिधारी
सपनों कि सूखी फुलवारी
अमृत होठों तक आते ही
जैसे विष में बदला
कहाँ से आए बदरा …

उतरे मेघ या फिर छाये
निर्दय झोंके अगन बढ़ाये
बरसे हैं अब तोसे सावन
रोए मन है पगला
कहाँ से आये बदरा …

kahāṇ se āe badrā
ghultā jāe kajrā
kahāṇ se āe badrā
ghultā jāe kajrā

palkoṅ ke sataraṅge dīpak
ban baiṭhe āṇsū ki jhālar
motī kā anmolak hīrā
miṭṭī me jā phislā
kahāṇ se āe badrā …

nīṅd piyā ke saṅg sidhārī
sapnoṅ ki sūkhī phulvārī
amṛt hoṭhoṅ tak āte hī
jaise viṣh meṅ badlā
kahāṇ se āe badrā …

utre megh yā phir chhāye
nirday jhoṅke agan baṛhāye
barse haiṅ ab tose sāvan
roe man hai paglā
kahāṇ se āye badrā …