Kahaan chal diye, idhar to aao

कहाँ चल दिये, इधर तो आओ
Year
Language

कहाँ चल दिये, इधर तो आओ मेरे दिल को न ठुकराओ
भोले सितमग़र मान भी जाओ, मान भी जाओ
कहाँ चल दिये …

हमारी जान जाती है, अदा कहते हो तुम इसको
बड़े मसूम क़ातिल हो, सज़ा देते हो तुम मुझको
कहाँ चल दिये …

खिलौना जान कर हमदम, मेरे दिल को न तोड़ो तुम
मैं राही हूँ मुहब्बत का, अकेला अब न छोड़ो तुम
कहाँ चल दिये …

मेरे दिल में चले आओ, कि ये घर भी तुम्हारा है
तुम्हारा प्यार ही अब मेरे जीने का सहारा है
कहाँ चल दिये …

kahāṇ chal diye, idhar to āo mere dil ko na ṭhukrāo
bhole sitamaġhar mān bhī jāo, mān bhī jāo
kahāṇ chal diye …

hamārī jān jātī hai, adā kahte ho tum isko
baṛe masūm qātil ho, sazā dete ho tum mujhko
kahāṇ chal diye …

khilaunā jān kar hamdam, mere dil ko na toṛo tum
maiṅ rāhī hūṇ muhabbat kā, akelā ab na chhoṛo tum
kahāṇ chal diye …

mere dil meṅ chale āo, ki ye ghar bhī tumhārā hai
tumhārā pyār hī ab mere jīne kā sahārā hai
kahāṇ chal diye …