Kah ke bhee na aaye tum

कह के भी न आये तुम्
Work
Year
Language

कह के भी न आये तुम
अब छुपने लगे तारे
दिल ले के तुम्हीं जीते
दिल दे के हमीं हारे

हम आस किये जाते
तुम पास नहीं आते
जाना था चले जाते
मिलने तो चले आते

कह के भी न आये तुम
अब छुपने लगे तारे
दिल ले के तुम्हीं जीते
दिल दे के हमीं हारे

हमने था तुम्हें माना
तुमने ही ना पहचाना
जब होना था बेगाना
तब क्‌यों किया दीवाना

कह के भी न आये तुम
अब छुपने लगे तारे
दिल ले के तुम्हीं जीते
दिल दे के हमीं हारे

सुनसान हुईं गलियाँ
सब सूख गईं कलियाँ
अब बीत चलीं घड़ियाँ
पर जाग रहीं अँखियाँ

कह के भी न आये तुम
अब छुपने लगे तारे
दिल ले के तुम्हीं जीते
दिल दे के हमीं हारे

kah ke bhī na āye tum
ab chhupne lage tāre
dil le ke tumhīṅ jīte
dil de ke hamīṅ hāre

ham ās kiye jāte
tum pās nahīṅ āte
jānā thā chale jāte
milne to chale āte

kah ke bhī na āye tum
ab chhupne lage tāre
dil le ke tumhīṅ jīte
dil de ke hamīṅ hāre

hamne thā tumheṅ mānā
tumne hī nā pahchānā
jab honā thā begānā
tab k‌yoṅ kiyā dīvānā

kah ke bhī na āye tum
ab chhupne lage tāre
dil le ke tumhīṅ jīte
dil de ke hamīṅ hāre

sunsān huīṅ galiyāṇ
sab sūkh gaīṅ kaliyāṇ
ab bīt chalīṅ ghaṛiyāṇ
par jāg rahīṅ aṇkhiyāṇ

kah ke bhī na āye tum
ab chhupne lage tāre
dil le ke tumhīṅ jīte
dil de ke hamīṅ hāre