Kah do koee naa kare yahaan pyaar

कह दो कोई ना करे यहाँ प्यार
Year
Language

बिखर गये बचपन के सपने, अरमानों की शाम ढले
कहीं सजे बारात किसीकी, कहीं किसीका प्यार जले

कह दो कोई ना करे यहाँ प्यार
इस में खुशियाँ हैं कम, बेशुमार है ग़म
एक हसीं और आँसू हज़ार

प्रीत पतंगा दिये से करे
उस की ही लौ में वो जल जल मरे
मुश्किल राहें यहाँ, अश्क और आहें यहाँ
इस में चैन नहीं, न करार

हमने तो समझा था फूल खिले
चुन चुन के देखा तो काँटे मिले
ये अनोखा जहां, हरदम धोखा यहाँ
इस वीराने में कैसी बहार

bikhar gaye bachapan ke sapne, armānoṅ kī śhām ḍhale
kahīṅ saje bārāt kisīkī, kahīṅ kisīkā pyār jale

kah do koī nā kare yahāṇ pyār
is meṅ khuśhiyāṇ haiṅ kam, beśhumār hai ġham
ek hasīṅ aur āṇsū hazār

prīt pataṅgā diye se kare
us kī hī lau meṅ vo jal jal mare
muśhkil rāheṅ yahāṇ, aśhk aur āheṅ yahāṇ
is meṅ chain nahīṅ, na karār

hamne to samjhā thā phūl khile
chun chun ke dekhā to kāṇṭe mile
ye anokhā jahāṅ, hardam dhokhā yahāṇ
is vīrāne meṅ kaisī bahār