Kabhee nekee bhee uske dil men gar aa jaaye hai mujhse

कभी नेकी भी उसके दिल में गर आ जाये है मुझसे
Work
Year
Language

कभी नेकी भी उसके दिल में गर आ जाये है मुझसे
जफ़ाये कर के अपनी याद शरमा जाये है मुझसे
कभी नेकी

उधर वो बदग़ुमानी है इधर ये नातवानी है -2
न पूछा जाये है उससे न बोला जाये है उनसे
कभी नेकी

हुये हैं पाँव ही पहले नबर्द-ए-इश्क़ में ज़ख़्मी -2
न भागा जाये है मुझसे न ठहरा जाये है मुझसे
कभी नेकी भी उसके दिल में गर आ जाये है मुझसे
कभी नेकी

सम्भलने दे मुझे ऐ नाउम्मीदी क्‌या क़यामत है -2
के दामान-ए-ख़याल-ए-यार छूटा जाये है मुझसे
कभी नेकी भी उसके दिल में गर आ जाये है मुझसे
कभी नेकी

kabhī nekī bhī uske dil meṅ gar ā jāye hai mujhse
jafāye kar ke apnī yād śharmā jāye hai mujhse
kabhī nekī

udhar vo badaġhumānī hai idhar ye nātvānī hai -2
na pūchhā jāye hai usse na bolā jāye hai unse
kabhī nekī

huye haiṅ pāṇv hī pahle nabard-e-iśhq meṅ zakhmī -2
na bhāgā jāye hai mujhse na ṭhahrā jāye hai mujhse
kabhī nekī bhī uske dil meṅ gar ā jāye hai mujhse
kabhī nekī

sambhalne de mujhe ai nāummīdī k‌yā qayāmat hai -2
ke dāmān-e-khayāl-e-yār chhūṭā jāye hai mujhse
kabhī nekī bhī uske dil meṅ gar ā jāye hai mujhse
kabhī nekī