Kabhee na bigare kisee kee motar raste men

कभी न बिगड़े किसी की मोटर रस्ते में
Work
Year
Language

कभी न बिगड़े किसी की मोटर रस्ते में -2
खड़े रहो बस बेबस होकर रस्ते में
कभी न बिगड़े किसी की मोटर रस्ते में

कपड़े हों मैले मुँह काला-काला
हो वो सुरैया या मधुबाला
आ हो
हो वो सुरैया या मधुबाला
बड़े-बड़े भी बन जाया करते हैं जोकर रस्ते में
कभी न बिगड़े किसी की मोटर रस्ते में

बार-बार handle बदलवाया
धक्‌के दे के सर चकराया -2
निकल गया इतना तो हाये रे कचूमर रस्ते में
कभी न बिगड़े किसी की मोटर रस्ते में

तेल खिलाया डाला पानी
पर ज़ालिम ने एक न मानी -2
याद आती है हमको नानी अब रो-रो कर रस्ते में -2

कभी न बिगड़े किसी की मोटर रस्ते में

सच कहती है दुनिया सारी
चलती का ही नाम है गाड़ी -2
मोटर भी छकड़ा है जब हो जाये puncture रस्ते में

कभी न बिगड़े किसी की मोटर रस्ते में
खड़े रहो बस बेबस होकर रस्ते में
कभी न बिगड़े किसी की मोटर रस्ते में

kabhī na bigaṛe kisī kī moṭar raste meṅ -2
khaṛe raho bas bebas hokar raste meṅ
kabhī na bigaṛe kisī kī moṭar raste meṅ

kapaṛe hoṅ maile muṇh kālā-kālā
ho vo suraiyā yā madhubālā
ā ho
ho vo suraiyā yā madhubālā
baṛe-baṛe bhī ban jāyā karte haiṅ jokar raste meṅ
kabhī na bigaṛe kisī kī moṭar raste meṅ

bār-bār handle badalvāyā
dhak‌ke de ke sar chakrāyā -2
nikal gayā itnā to hāye re kachūmar raste meṅ
kabhī na bigaṛe kisī kī moṭar raste meṅ

tel khilāyā ḍālā pānī
par zālim ne ek na mānī -2
yād ātī hai hamko nānī ab ro-ro kar raste meṅ -2

kabhī na bigaṛe kisī kī moṭar raste meṅ

sach kahtī hai duniyā sārī
chaltī kā hī nām hai gāṛī -2
moṭar bhī chhakaṛā hai jab ho jāye puncture raste meṅ

kabhī na bigaṛe kisī kī moṭar raste meṅ
khaṛe raho bas bebas hokar raste meṅ
kabhī na bigaṛe kisī kī moṭar raste meṅ