Kabhee to milegee, kaheen to milegee

कभी तो मिलेगी, कहीं तो मिलेगी
Work
Year
Language

कभी तो मिलेगी, कहीं तो मिलेगी
बहारों की मंज़िल राही
बहारों की मंज़िल राही …

लम्बी सही दर्द की राहें
दिल की लगन से काम ले
आँखों के इस तूफ़ाँ को पी जा
आहों के बादल थाम ले
दूर तो है पर, दूर नहीं है
नज़ारों की मंज़िल राहि
बहारों की मंज़िल राही …

आ हा हा हा, ल ला, ला ल ल, अह हा हा ह ह

माना कि है गहरा अन्धेरा
गुम है डगर की चाँदनी
मैली न हो धुँधली पड़े न
देख नज़र की चाँदनी
डाले हुए है, रात की चादर
सितारों की मंज़िल राही
बहारों की मंज़िल राही …

kabhī to milegī, kahīṅ to milegī
bahāroṅ kī maṅzil rāhī
bahāroṅ kī maṅzil rāhī …

lambī sahī dard kī rāheṅ
dil kī lagan se kām le
āṇkhoṅ ke is tūfāṇ ko pī jā
āhoṅ ke bādal thām le
dūr to hai par, dūr nahīṅ hai
nazāroṅ kī maṅzil rāhi
bahāroṅ kī maṅzil rāhī …

ā hā hā hā, la lā, lā la la, ah hā hā ha ha

mānā ki hai gahrā andherā
gum hai ḍagar kī chāṇdnī
mailī na ho dhuṇdhlī paṛe na
dekh nazar kī chāṇdnī
ḍāle hue hai, rāt kī chādar
sitāroṅ kī maṅzil rāhī
bahāroṅ kī maṅzil rāhī …