Kabhee kisee ko mukammal jahaan naheen miltaa

कभी किसी को मुकम्मल जहां नहीं मिलता
Year
Language

कभी किसी को मुकम्मल जहां नहीं मिलता
कहीं ज़मीं तो कहीं आसमां नहीं मिलता

जिसे भी देखिये वो अपने आप में गुम है
ज़ुबाँ मिली है मगर हमज़ुबाँ नहीं मिलता

बुझा सका है भला कौन वक्त के शोले
ये ऐसी आग है जिस में धुआँ नहीं मिलता

तेरे जहान में ऐसा नहीं के प्यार न हो
जहाँ उम्मीद हो इसकी वहाँ नहीं मिलता

kabhī kisī ko mukammal jahāṅ nahīṅ miltā
kahīṅ zamīṅ to kahīṅ āsmāṅ nahīṅ miltā

jise bhī dekhiye vo apne āp meṅ gum hai
zubāṇ milī hai magar hamazubāṇ nahīṅ miltā

bujhā sakā hai bhalā kaun vakt ke śhole
ye aisī āg hai jis meṅ dhuāṇ nahīṅ miltā

tere jahān meṅ aisā nahīṅ ke pyār na ho
jahāṇ ummīd ho iskī vahāṇ nahīṅ miltā