कभी होता भरोसा ... मत उलझन में पड़ इनसान्
कभी होता भरोसा कभी होता भरम
पड़ा उलझन में है इनसान
तू है या नहीं भगवान -2
र: मत उलझन में पड़ इनसान -2
तेरे सोचे बिना जब होता है सब तो समझ ले कहीं है भगवान
ल: तू है या नहीं भगवान
वो है अगर तो क्यों ना दिखाई दे कैसी ये उल्टी रीत है
झूठा है वो उसके झूठे ही भय से झूठा जगत भयभीत है
र: घन-घन गरजती हुई ये घटाएँ किसका सुनाती गीत हैं
लहराते सागर की लहरों में गूँजे किसका अमर संगीत है
जो दाता है सबका महान
दिया जिसने जनम दिया जिसने ये तन क्यों न उसको सका तू पहचान
मत उलझन में पड़ …
म: क्यों बालक की ममता रोती है क्यों अनहोनी जग में होती है
मंदिर में दीप जलाते हैं जो उनके घर की बुझती ज्योति है क्यों
अनहोनी जग में होती है क्यों
र: जीवन-मरण हानि और फ़ायदा कर्मों का फल है उसका भी क़ायदा
इनसान की कुछ भी चलती नहीं करनी अपनी कभी टलती नहीं
भक्ति के भाव से उसको तू जान ले श्रद्धा की आँखों से उसको तू पहचान ले
होता नहीं क्या अचंभा बड़ा आकाश किसके सहारे खड़ा
फूलों में रंग झरनों में तरंग धरती में उमंग जो उठाता
वो कौन क्या तुम
बादल में बिजली पहाड़ों में फूल जो खिलाता
वो कौन क्या तुम
वो है सर्वशक्तिमान कण-कण में बसे पर न दिखाई दे
उसकी शक्ति को तू पहचान
मत उलझन में पड़ …
kabhī hotā bharosā kabhī hotā bharam
paṛā uljhan meṅ hai insān
tū hai yā nahīṅ bhagvān -2
ra: mat uljhan meṅ paṛ insān -2
tere soche binā jab hotā hai sab to samajh le kahīṅ hai bhagvān
la: tū hai yā nahīṅ bhagvān
vo hai agar to kyoṅ nā dikhāī de kaisī ye ulṭī rīt hai
jhūṭhā hai vo uske jhūṭhe hī bhay se jhūṭhā jagat bhaybhīt hai
ra: ghan-ghan garajtī huī ye ghaṭāeṇ kiskā sunātī gīt haiṅ
lahrāte sāgar kī lahroṅ meṅ gūṇje kiskā amar saṅgīt hai
jo dātā hai sabkā mahān
diyā jisne janam diyā jisne ye tan kyoṅ na usko sakā tū pahchān
mat uljhan meṅ paṛ …
ma: kyoṅ bālak kī mamtā rotī hai kyoṅ anhonī jag meṅ hotī hai
maṅdir meṅ dīp jalāte haiṅ jo unke ghar kī bujhtī jyoti hai kyoṅ
anhonī jag meṅ hotī hai kyoṅ
ra: jīvan-maraṇ hāni aur fāydā karmoṅ kā phal hai uskā bhī qāydā
insān kī kuchh bhī chaltī nahīṅ karnī apnī kabhī ṭaltī nahīṅ
bhakti ke bhāv se usko tū jān le śhraddhā kī āṇkhoṅ se usko tū pahchān le
hotā nahīṅ kyā achaṅbhā baṛā ākāśh kiske sahāre khaṛā
phūloṅ meṅ raṅg jharnoṅ meṅ taraṅg dhartī meṅ umaṅg jo uṭhātā
vo kaun kyā tum
bādal meṅ bijlī pahāṛoṅ meṅ phūl jo khilātā
vo kaun kyā tum
vo hai sarvaśhaktimān kaṇ-kaṇ meṅ base par na dikhāī de
uskī śhakti ko tū pahchān
mat uljhan meṅ paṛ …