कभी ऐ हक़ीक़त-ए-मुंतज़र, नज़र आ लिबास-ए-मजाज़ में
कभी ऐ हक़ीक़त-ए-मुंतज़र, नज़र आ लिबास-ए-मजाज़ में
के हज़ारों सजदे तड़प रहे हैं मेरी जबीन-ए-नियाज़ में
न बचा-बचा के तू रख इसे, तेरा आईना है वो आईना
के शिकस्ता हो तो अज़ीज़तर है निगाह-ए-आईनासाज़ में
न वो इश्क़ में रहीं गर्मियाँ, न वो हुस्न में रहीं शोख़ियाँ
न वो ग़ज़नवी में तड़प रही
न वो खम है ज़ुल्फ़-ए-आयाज़ में
मैं जो सर-ब-सजदा कभी हुआ, तो ज़मीं से आने लगी सदा
तेरा दिल तो है सनम आशना, तुझे क्या मिलेगा नमाज़ में
कभी ऐ हक़ीक़त-ए-मुंतज़र, नज़र आ लिबास-ए-मजाज़ में
के हज़ारों सजदे तड़प रहे हैं मेरी जबीन-ए-नियाज़ में
%
kabhī ai haqīqat-e-muṅtazar, nazar ā libās-e-majāz meṅ
ke hazāroṅ sajde taṛap rahe haiṅ merī jabīn-e-niyāz meṅ
na bachā-bachā ke tū rakh ise, terā āīnā hai vo āīnā
ke śhikastā ho to azīztar hai nigāh-e-āīnāsāz meṅ
na vo iśhq meṅ rahīṅ garmiyāṇ, na vo husn meṅ rahīṅ śhokhiyāṇ
na vo ġhazanvī meṅ taṛap rahī
na vo kham hai zulf-e-āyāz meṅ
maiṅ jo sar-ba-sajdā kabhī huā, to zamīṅ se āne lagī sadā
terā dil to hai sanam āśhnā, tujhe kyā milegā namāz meṅ
kabhī ai haqīqat-e-muṅtazar, nazar ā libās-e-majāz meṅ
ke hazāroṅ sajde taṛap rahe haiṅ merī jabīn-e-niyāz meṅ
%