Kab tak niraas kee andhiyaaree ... bhaee jagat ujiyaaree

कब तक निरास की अन्धियारी ... भई जगत उजियारी
Work
Year
Language

कब तक निरास की
अन्धियारी
कब तक निरास की
आस की दामिन दमका देगी
यही बदरिया कारी
कब तक निरास की

सूखे पेड़ की डार-डार है
रस की भरी पिचकारी
जैसे लाज का घूँघट काढ़े
कोई सुन्दर नारी

आस की दामिन दमका देगी
यही बदरिया कारी
कब तक निरास की

कजरी रैन ही होत समझो
कारे नयन की ज्योती -2
जुगनू
जुगनू बन के चमक रही है
छुपी हुई उजियारी

आस की दामिन दमका देगी
यही बदरिया कारी
कब तक निरास की

हुआ भी ऐसा ही
निराशा की काली बदरिया उमड़-घुमड़ के बरसी तो
लेकिन उसी में आशा की किरन फूट पड़ी
और

भई जगत उजियारी -2
झलक थी जिसकी अन्धियारी में
यही थी वो उजियारी
देखो
भई जगत उजियारी

बन गई काजल जागी आँख का
सिमट के रैन अन्धियारी
भई जगत उजियारी

( नैनन-जल से सींचा था जिसको
हरी हुई वो क्‌यारी ) -2
बिगड़ी बनाने वाले तूने
रख ली लाज हमारी

भई जगत उजियारी

बन गई काजल जागी आँख का
सिमट के रैन अन्धियारी
भई जगत उजियारी

kab tak nirās kī
andhiyārī
kab tak nirās kī
ās kī dāmin damkā degī
yahī badriyā kārī
kab tak nirās kī

sūkhe peṛ kī ḍār-ḍār hai
ras kī bharī pichkārī
jaise lāj kā ghūṇghaṭ kāṛhe
koī sundar nārī

ās kī dāmin damkā degī
yahī badriyā kārī
kab tak nirās kī

kajrī rain hī hot samjho
kāre nayan kī jyotī -2
jugnū
jugnū ban ke chamak rahī hai
chhupī huī ujiyārī

ās kī dāmin damkā degī
yahī badriyā kārī
kab tak nirās kī

huā bhī aisā hī
nirāśhā kī kālī badriyā umaṛ-ghumaṛ ke barsī to
lekin usī meṅ āśhā kī kiran phūṭ paṛī
aur

bhaī jagat ujiyārī -2
jhalak thī jiskī andhiyārī meṅ
yahī thī vo ujiyārī
dekho
bhaī jagat ujiyārī

ban gaī kājal jāgī āṇkh kā
simaṭ ke rain andhiyārī
bhaī jagat ujiyārī

( nainan-jal se sīṅchā thā jisko
harī huī vo k‌yārī ) -2
bigaṛī banāne vāle tūne
rakh lī lāj hamārī

bhaī jagat ujiyārī

ban gaī kājal jāgī āṇkh kā
simaṭ ke rain andhiyārī
bhaī jagat ujiyārī