Kaamosh nigaahen ye sunaatee hain kahaanee

कामोश निगाहें ये सुनाती हैं कहानी
Work
Year
Language

ख़ामोश निगाहें ये सुनाती हैं कहानी -2
लो आज चली ठोकरें खाने को जवानी
ख़ामोश निगाहें -2

ये मान लिया पंछी
ये मान लिया काट लिये पर हैं किसी ने
पर दिल की कहानी तो है पिया को सुनानी
ख़ामोश निगाहें -2

हर सू है अन्धेरा तो दिया इक भी जले क्‌यूँ
फूटी हुई क़िसमत को है अब ठोकरें खानी
ख़ामोश निगाहें -2

है रात सुहानी दिये जलते हैं हज़ारों -2
हसरत के अंधेरे से बनी आज दीवानी
आज दीवानी
ख़ामोश निगाहें -2

शायद ये तेरे उजड़े हुए दिल की है तसवीर
पानी की रवानी में चिराग़ों की रवानी
ख़ामोश निगाहें -2

घर-बार उजाड़ा तेरी फ़ुरक़त में जुनूं से
सीने से लगा रखी है इक तेरी निशानी
इक तेरी निशानी
ख़ामोश निगाहें -2

बाज़ार में ढूँढा तुझे गलियों में पुकारा
अफ़सोस किसी ने ना सुनी और ना मानी
और ना मानी
ख़ामोश निगाहें -2

दिन-रात तुझे ढूँढ रही
ए दिन-रात तुझे ढूँढ रही हैं मेरी आँखें
जायेंगे जहाँ ले चले अश्क़ों की रवानी
ख़ामोश निगाहें -2

तक़दीर दर-ए-यार पे आख़िर मुझे लायी
हाँ तक़दीर दर-ए-यार पे आख़िर मुझे लायी
सुन दिल की कहानी मेरी आँखों की ज़ुबानी
ख़ामोश निगाहें -2

khāmośh nigāheṅ ye sunātī haiṅ kahānī -2
lo āj chalī ṭhokreṅ khāne ko javānī
khāmośh nigāheṅ -2

ye mān liyā paṅchhī
ye mān liyā kāṭ liye par haiṅ kisī ne
par dil kī kahānī to hai piyā ko sunānī
khāmośh nigāheṅ -2

har sū hai andherā to diyā ik bhī jale k‌yūṇ
phūṭī huī qismat ko hai ab ṭhokreṅ khānī
khāmośh nigāheṅ -2

hai rāt suhānī diye jalte haiṅ hazāroṅ -2
hasrat ke aṅdhere se banī āj dīvānī
āj dīvānī
khāmośh nigāheṅ -2

śhāyad ye tere ujaṛe hue dil kī hai tasvīr
pānī kī ravānī meṅ chirāġhoṅ kī ravānī
khāmośh nigāheṅ -2

ghar-bār ujāṛā terī furaqat meṅ junūṅ se
sīne se lagā rakhī hai ik terī niśhānī
ik terī niśhānī
khāmośh nigāheṅ -2

bāzār meṅ ḍhūṇḍhā tujhe galiyoṅ meṅ pukārā
afsos kisī ne nā sunī aur nā mānī
aur nā mānī
khāmośh nigāheṅ -2

din-rāt tujhe ḍhūṇḍh rahī
e din-rāt tujhe ḍhūṇḍh rahī haiṅ merī āṇkheṅ
jāyeṅge jahāṇ le chale aśhqoṅ kī ravānī
khāmośh nigāheṅ -2

taqdīr dar-e-yār pe ākhir mujhe lāyī
hāṇ taqdīr dar-e-yār pe ākhir mujhe lāyī
sun dil kī kahānī merī āṇkhoṅ kī zubānī
khāmośh nigāheṅ -2