Kaalee ghataaen hain thandee havaaen hain

काली घटाएँ हैं ठण्डी हवाएँ हैं
Year
Language

काली घटाएँ हैं ठण्डी हवाएँ हैं ( मस्त फ़िज़ाएँ हैं ) -2
हो
लब पे सदाएँ हैं अदाएँ हैं लब पे सदाएँ

मैं भी जवान हूँ तू भी जवान है
पहलू में अपने हाय दिल ही कहाँ है
खुली हुई बाँहें हैं नीची निगाहें हैं
काली घटाएँ हैं …

हुस्न-ओ-जवानी तुझे रह-रह के बुलाएँ
वादे निभाने की क़समें उठाएँ
कैसी अदाएँ हैं ये तो ( जफ़ाएँ हैं ) -2
काली घटाएँ हैं …

kālī ghaṭāeṇ haiṅ ṭhaṇḍī havāeṇ haiṅ ( mast fizāeṇ haiṅ ) -2
ho
lab pe sadāeṇ haiṅ adāeṇ haiṅ lab pe sadāeṇ

maiṅ bhī javān hūṇ tū bhī javān hai
pahlū meṅ apne hāy dil hī kahāṇ hai
khulī huī bāṇheṅ haiṅ nīchī nigāheṅ haiṅ
kālī ghaṭāeṇ haiṅ …

husn-o-javānī tujhe rah-rah ke bulāeṇ
vāde nibhāne kī qasmeṅ uṭhāeṇ
kaisī adāeṇ haiṅ ye to ( jafāeṇ haiṅ ) -2
kālī ghaṭāeṇ haiṅ …