जुस्तजू जिसकी थी उस को तो न पाया हमने
जुस्तजू जिसकी थी उस को तो न पाया हमने
इस बहाने से मगर देख ली दुनिया हमने
तुझको रुसवा न किया ख़ुद भी पशेमाँ न हुये
इश्क़ की रस्म को इस तरह निभाया हमने
कब मिली थी कहाँ बिछड़ी थी हमें याद नहीं
ज़िंदगी तुझको तो बस ख़्वाब में देखा हमने
ऐ 'आद' और सुनाये भी तो क्या हाल अपना
उम्र का लम्बा सफ़र तय किया तनहा हमने
justjū jiskī thī us ko to na pāyā hamne
is bahāne se magar dekh lī duniyā hamne
tujhko rusvā na kiyā khud bhī paśhemāṇ na huye
iśhq kī rasm ko is tarah nibhāyā hamne
kab milī thī kahāṇ bichhaṛī thī hameṅ yād nahīṅ
ziṅdgī tujhko to bas khvāb meṅ dekhā hamne
ai 'ād' aur sunāye bhī to kyā hāl apnā
umr kā lambā safar tay kiyā tanhā hamne