Jundhriyaa kattee jaaye re umriyaa ghattee jaaye re

जुन्धरिया कटती जाये रे उमरिया घटती जाये रे
Year
Language

जुन्धरिया कटती जाये रे
उमरिया घटती जाये रे
काम कठन जीवन थोड़ा
काम कठन है रे
काम कठन जीवन थोड़ा
पगला मन घबराये
जुन्धरिया कटती जाये रे
उमरिया घटती जाये रे

दुख-दर्द सहें बनजारे भइया
धूप में देखें तारे
दिन-रात बहायें पसीना हम
कुछ हाथ न आये हमारे -2
हमरी सारी मेहनत माया
ठगवा ठग ले जाये

जुन्धरिया कटती जाये रे
उमरिया घटती जाये रे

धरती पे कितने बारा-मासे
बीत गये रे आ के रामा
बीत गये रे आ के
दुनिया के लिये है लीला तेरी
हमरे भाग में फाँके रामा
हमरे भाग में फाँके
कागज हो तो बाँच लूँ रामा
भाग न बाँचो जाये

जुन्धरिया कटती जाये रे
उमरिया घटती जाये रे

सनसार में तेरे लूट मची
और जान के पड़ गये लाले -2
अब रोक जनम की चक्‌की रे -2
सनसार चलाने वाले -2
काल पड़ा है रोटी का और
दुनिया बढ़ती जाये

जुन्धरिया कटती जाये रे
उमरिया घटती जाये रे

jundhriyā kaṭtī jāye re
umriyā ghaṭtī jāye re
kām kaṭhan jīvan thoṛā
kām kaṭhan hai re
kām kaṭhan jīvan thoṛā
paglā man ghabrāye
jundhriyā kaṭtī jāye re
umriyā ghaṭtī jāye re

dukh-dard saheṅ banjāre bhaiyā
dhūp meṅ dekheṅ tāre
din-rāt bahāyeṅ pasīnā ham
kuchh hāth na āye hamāre -2
hamrī sārī mehnat māyā
ṭhagvā ṭhag le jāye

jundhriyā kaṭtī jāye re
umriyā ghaṭtī jāye re

dhartī pe kitne bārā-māse
bīt gaye re ā ke rāmā
bīt gaye re ā ke
duniyā ke liye hai līlā terī
hamre bhāg meṅ phāṇke rāmā
hamre bhāg meṅ phāṇke
kāgaj ho to bāṇch lūṇ rāmā
bhāg na bāṇcho jāye

jundhriyā kaṭtī jāye re
umriyā ghaṭtī jāye re

sansār meṅ tere lūṭ machī
aur jān ke paṛ gaye lāle -2
ab rok janam kī chak‌kī re -2
sansār chalāne vāle -2
kāl paṛā hai roṭī kā aur
duniyā baṛhtī jāye

jundhriyā kaṭtī jāye re
umriyā ghaṭtī jāye re