जो सच्चे प्रेमी हैं किसी से डर नहीं सकते
जो सच्चे प्रेमी हैं किसी से डर नहीं सकते
जो प्यार करते हैं वो कभी मर नहीं सकते
हम प्यार करने वाले हर बार कसम लेंगे
जी जी के मरेंगे हम मर मर के जनम लेंगे
जो सच्चे प्रेमी हैं …
हमें साथ जीना हमें साथ मरना
नहीं डर ख़ुदा का दुनिया से क्या है डरना
प्यार ही है ख़ुदा प्यार ईमान है
प्यार से प्रेमियों की पहचान है
इस पहचान की रुसवाई प्रेमी कर नहीं सकते
जो प्यार करते हैं …
प्रेमी जंग प्यार वाली हार नहीं सकते
लोग सच्चे आशिक़ों को कभी मार नहीं सकते
प्यार की लौ ना दुश्मन बुझा पाएंगे
नाम चाहत का वो ना मिटा पाएंगे
कट जाते हैं आशिक़ झुका वो सर नहीं सकते
जो प्यार करते हैं …
हमारे प्यार के दुश्मन अगर नज़दीक आएंगे
हमारे प्यार की चिंगारियों से जल जाएंगे
मुहब्बत मिट नहीं सकती कभी दुनिया की नफ़रत से
ख़ुदा का नाम चलता है तो इक नाम-ए-मोहब्बत से
jo sachche premī haiṅ kisī se ḍar nahīṅ sakte
jo pyār karte haiṅ vo kabhī mar nahīṅ sakte
ham pyār karne vāle har bār kasam leṅge
jī jī ke mareṅge ham mar mar ke janam leṅge
jo sachche premī haiṅ …
hameṅ sāth jīnā hameṅ sāth marnā
nahīṅ ḍar khudā kā duniyā se kyā hai ḍarnā
pyār hī hai khudā pyār īmān hai
pyār se premiyoṅ kī pahchān hai
is pahchān kī rusvāī premī kar nahīṅ sakte
jo pyār karte haiṅ …
premī jaṅg pyār vālī hār nahīṅ sakte
log sachche āśhiqoṅ ko kabhī mār nahīṅ sakte
pyār kī lau nā duśhman bujhā pāeṅge
nām chāhat kā vo nā miṭā pāeṅge
kaṭ jāte haiṅ āśhiq jhukā vo sar nahīṅ sakte
jo pyār karte haiṅ …
hamāre pyār ke duśhman agar nazdīk āeṅge
hamāre pyār kī chiṅgāriyoṅ se jal jāeṅge
muhabbat miṭ nahīṅ saktī kabhī duniyā kī nafrat se
khudā kā nām chaltā hai to ik nām-e-mohabbat se