Jo khushee se chot khaaye, vo jeegar kahaan se laaoon

जो खुशी से चोट खाये, वो जीगर कहाँ से लाऊँ
Year
Language

तेरी खातिर सितम दिल पे गवारा कर लिया मैंने
कहा किसने मुहब्बत से किनारा कर लिया मैंने

जो खुशी से चोट खाये,
वो जिगर कहाँ से लाऊं - 2
किसी और को जो देखे,
वो नजर कहाँ से लाऊं - 2
जो खुशी से चोट खाये

मुझे तेरी आरज़ू है,
मेरे दिल में तू ही तू है - 2
बसे गैर जिसमें आ कर,
मैं वो घर कहाँ से लाऊं - 2
जो खुशी से चोट खाये

तेरी बेरुखी पे सदके,
तेरी हर अदा पे कुर्बां - 2
करे और को जो सजदे,
मैं वो सर कहाँ से लाऊं - 2

जो खुशी से चोट खाये
वो जिगर कहाँ से लाऊं - 2
जो खुशी से चोट खाये

A TALAT TID BIT : Talat also recorded the song 'Chal ud
jaa re panchi, ke ab ye des hua begana' for the old movie
'Bhabhi' but it was never used in the film.

terī khātir sitam dil pe gavārā kar liyā maiṅne
kahā kisne muhabbat se kinārā kar liyā maiṅne

jo khuśhī se choṭ khāye,
vo jigar kahāṇ se lāūṅ - 2
kisī aur ko jo dekhe,
vo najar kahāṇ se lāūṅ - 2
jo khuśhī se choṭ khāye

mujhe terī ārazū hai,
mere dil meṅ tū hī tū hai - 2
base gair jismeṅ ā kar,
maiṅ vo ghar kahāṇ se lāūṅ - 2
jo khuśhī se choṭ khāye

terī berukhī pe sadke,
terī har adā pe kurbāṅ - 2
kare aur ko jo sajde,
maiṅ vo sar kahāṇ se lāūṅ - 2

jo khuśhī se choṭ khāye
vo jigar kahāṇ se lāūṅ - 2
jo khuśhī se choṭ khāye

A TALAT TID BIT : Talat also recorded the song 'Chal ud
jaa re panchi, ke ab ye des hua begana' for the old movie
'Bhabhi' but it was never used in the film.