Jo guzar rahee hai mujh par use kaise main bataaoon

जो गुज़र रही है मुझ पर उसे कैसे मैं बताऊँ
Year
Language

जो गुज़र रही है मुझ पर उसे कैसे मैं बताऊँ -2
वो ख़ुशी मिली है मुझको मैं ख़ुशी से मर न जाऊँ -2

मेरे दिल की धड़कनों का ये सलाम तुमको पहुँचे
मैं तुम्हारा हमनशीं हूँ ये पयाम तुमको पहुँचे
उसे बन्दगी मैं समझूँ जो तुम्हारे काम आऊँ
वो ख़ुशी मिली है …

मेरे दिल की महफ़िलों में वो मुक़ाम है तुम्हारा
के ख़ुदा के बाद लब पर बस नाम है तुम्हारा
मेरी आरज़ू यही है मैं तुम्हारे गीत गाऊँ
वो ख़ुशी मिली है …

मेरी ज़िन्दगी में हमदम कभी ग़म न तू उठाना
कभी आएँ जो अँधेरे मुझे प्यार से बुलाना
मैं चिराग़ हूँ वफ़ा का मैं अँधेरे जगमगाऊँ
वो ख़ुशी मिली है …

jo guzar rahī hai mujh par use kaise maiṅ batāūṇ -2
vo khuśhī milī hai mujhko maiṅ khuśhī se mar na jāūṇ -2

mere dil kī dhaṛaknoṅ kā ye salām tumko pahuṇche
maiṅ tumhārā hamanśhīṅ hūṇ ye payām tumko pahuṇche
use bandgī maiṅ samjhūṇ jo tumhāre kām āūṇ
vo khuśhī milī hai …

mere dil kī mahafiloṅ meṅ vo muqām hai tumhārā
ke khudā ke bād lab par bas nām hai tumhārā
merī ārazū yahī hai maiṅ tumhāre gīt gāūṇ
vo khuśhī milī hai …

merī zindgī meṅ hamdam kabhī ġham na tū uṭhānā
kabhī āeṇ jo aṇdhere mujhe pyār se bulānā
maiṅ chirāġh hūṇ vafā kā maiṅ aṇdhere jagamgāūṇ
vo khuśhī milī hai …