जो अपना काम है ... जाऊँ मैं कहाँ दाता
जो अपना काम है वह किए जा रही हूँ मैं
अब तेरे दर की ख़ाक़ लिए जा रही हूँ मैं
जाऊँ मैं कहाँ दाता तेरा देख लिया ये जहाँ
जाऊँ मैं कहाँ हाय जाऊँ मैं कहाँ
ग़म के अन्धेरे हैं दुखड़ों का साथ है
चन्दा बनाने वाले दिन मेरा रात है
किसको सुनाऊँ जा के दिल का बयाँ
जाऊँ मैं कहाँ …
माना बुरी हूँ पर हूँ तो तुम्हारी
कहती है तुमसे अब तो दुनिया हमारी
बिगड़ी बना दो मेरी आ के यहाँ
जाऊँ मैं कहाँ …
तेरे जहाँ में मालिक काँटे ही काँटे हैं
आँसू दिए हैं मुझको फूल तूने बाँटे हैं
दिल की सदाएँ सुन ले मैं हूँ बेज़ुबाँ
जाऊँ मैं कहाँ …
jo apnā kām hai vah kie jā rahī hūṇ maiṅ
ab tere dar kī khāq lie jā rahī hūṇ maiṅ
jāūṇ maiṅ kahāṇ dātā terā dekh liyā ye jahāṇ
jāūṇ maiṅ kahāṇ hāy jāūṇ maiṅ kahāṇ
ġham ke andhere haiṅ dukhaṛoṅ kā sāth hai
chandā banāne vāle din merā rāt hai
kisko sunāūṇ jā ke dil kā bayāṇ
jāūṇ maiṅ kahāṇ …
mānā burī hūṇ par hūṇ to tumhārī
kahtī hai tumse ab to duniyā hamārī
bigaṛī banā do merī ā ke yahāṇ
jāūṇ maiṅ kahāṇ …
tere jahāṇ meṅ mālik kāṇṭe hī kāṇṭe haiṅ
āṇsū die haiṅ mujhko phūl tūne bāṇṭe haiṅ
dil kī sadāeṇ sun le maiṅ hūṇ bezubāṇ
jāūṇ maiṅ kahāṇ …