Jiskaa koee nahee uskaa to khudaa hai yaaron

जिसका कोई नही उसका तो खुदा है यारों
Work
Year
Language

एक दिन किसी फकीर ने एक बात कही थी
अब जा के दिल ने माना, वो बात सही थी

जिसका कोई नहीं उसका तो खुदा है यारों
मैं नहीं कहता किताबों में लिखा है यारों

हम तो क्या है वो फरिश्तोंको आजमाता है
बनाकर हमको मिटाता है फिर बनाता है
आदमी टूट के सौ बार जुड़ा है यारों

कब तलक़ हमसे ये तकदीर भला रूठेगी
इन अंधेरों से उजाले की किरण फूटेगी
गम के दामन में कही चैन छुपा है यारों

ek din kisī phakīr ne ek bāt kahī thī
ab jā ke dil ne mānā, vo bāt sahī thī

jiskā koī nahīṅ uskā to khudā hai yāroṅ
maiṅ nahīṅ kahtā kitāboṅ meṅ likhā hai yāroṅ

ham to kyā hai vo phariśhtoṅko ājmātā hai
banākar hamko miṭātā hai phir banātā hai
ādmī ṭūṭ ke sau bār juṛā hai yāroṅ

kab talaq hamse ye takdīr bhalā rūṭhegī
in aṅdheroṅ se ujāle kī kiraṇ phūṭegī
gam ke dāman meṅ kahī chain chhupā hai yāroṅ