जिस दिन से मैं ने तुमको देखा है, इस दिल में इक सपना सा जागा है
र: जिस दिन से मैने तुमको देखा है
इस दिल में इक सपना सा जागा है
इजाज़त हो तो सुना दूँ - 2
आ: इस दिल ने जबसे तुमको पाया है
कुछ चोरी-चोरी मैने भी देखा है
गर इजाज़त हो तो बता दूँ - 2
र: शोखी है नज़ाक़त है, आँखों में शरारत है
ऐसे भी शरमाना क्या, कह दो कि मोहब्बत है
आ: कहने की ज़रूरत क्या, बातों की हक़ीक़त क्या
छलके न निगाहों से, ऐसी भी मुहब्बत क्या
कुछ खोया-खोया दिल भी रहता है
कुछ चोरी-चोरी मैने भी देखा है
इजाज़त हो …
र: दिल को ना सम्भालूँ तो, सीने से लगा लूँ तो
होठों की जो लाली है, उसको मैं चुरा लूँ तो
आ: यूँ नज़रें न डालो तुम, अब दिल को सम्भालो तुम
देखे न हमें दुनिया, सीने में छुपा लो तुम
न जाने मुझको डर क्यों लगता है
कुछ चोरी-चोरी मैने भी देखा है
इजाज़त हो …
ra: jis din se maine tumko dekhā hai
is dil meṅ ik sapnā sā jāgā hai
ijāzat ho to sunā dūṇ - 2
ā: is dil ne jabse tumko pāyā hai
kuchh chorī-chorī maine bhī dekhā hai
gar ijāzat ho to batā dūṇ - 2
ra: śhokhī hai nazāqat hai, āṇkhoṅ meṅ śharārat hai
aise bhī śharmānā kyā, kah do ki mohabbat hai
ā: kahne kī zarūrat kyā, bātoṅ kī haqīqat kyā
chhalke na nigāhoṅ se, aisī bhī muhabbat kyā
kuchh khoyā-khoyā dil bhī rahtā hai
kuchh chorī-chorī maine bhī dekhā hai
ijāzat ho …
ra: dil ko nā sambhālūṇ to, sīne se lagā lūṇ to
hoṭhoṅ kī jo lālī hai, usko maiṅ churā lūṇ to
ā: yūṇ nazreṅ na ḍālo tum, ab dil ko sambhālo tum
dekhe na hameṅ duniyā, sīne meṅ chhupā lo tum
na jāne mujhko ḍar kyoṅ lagtā hai
kuchh chorī-chorī maine bhī dekhā hai
ijāzat ho …