Jinnaaraa ... saath tere hai ... jeevan se naa haar

जिन्नारा ... साथ तेरे है ... जीवन से ना हार्
Year
Language

जिन्नारा जिन जिन्नारा -4
साथ तेरे है ऊपर वाला वही है सबका रखवाला

जीवन से ना हार जीने वाले बात मेरी तू मान अरे मतवाले
हर ग़म को तू अपना कर और अपना दर्द छुपाकर
बढ़ता चल तू लहरा कर दुनिया के सुख-दुख को बिसरा कर
जीवन से ना हार …

सुख-दुख जीवन के दो पाए धूप सुनहरी कहीं घनेरे साए
जो सूरज अँधियारे में खो जाए वही लौटकर नया सवेरा लाए
जीवन से ना हार …

बहती नदिया तुझको याद दिलाए समय जो जाए कभी लौट के फिर ना आए
दीप तो वो जो हवा में जलता जाए खुद को जलाकर जग को राह दिखाए
जीवन से ना हार …

jinnārā jin jinnārā -4
sāth tere hai ūpar vālā vahī hai sabkā rakhvālā

jīvan se nā hār jīne vāle bāt merī tū mān are matvāle
har ġham ko tū apnā kar aur apnā dard chhupākar
baṛhtā chal tū lahrā kar duniyā ke sukh-dukh ko bisrā kar
jīvan se nā hār …

sukh-dukh jīvan ke do pāe dhūp sunahrī kahīṅ ghanere sāe
jo sūraj aṇdhiyāre meṅ kho jāe vahī lauṭkar nayā saverā lāe
jīvan se nā hār …

bahtī nadiyā tujhko yād dilāe samay jo jāe kabhī lauṭ ke phir nā āe
dīp to vo jo havā meṅ jaltā jāe khud ko jalākar jag ko rāh dikhāe
jīvan se nā hār …